aaj door se hi koi salaam kar gaya, Apni dhadkane benaam kar gaya, Saasein girvi raki thi jiske paass,Aaj wohi hame nilaam kar gaya...
Hame aadat thi bahut peene ki,magar usne kasam dekar chudaadi,magar jab baite the yaaro ki mehfil me toyaaro ne uski kasam deke pilaadi...
mujhko rulaakar dil uska bhi roya hoga,chehra aansuon se usne bhi dhoyaa hoga,na huwa haasil hame kuch pyaar me to kya,use bhi apna kuchh to khoyaa hogaa…
Na thi jisko mere pyaar ki kadar,Ittefaaq se usi ko chaah raha tha mein,Usi diye ne jalaaya mere haathon ko,Jisko hawaa se bacha raha tha mein…
Palkon se utha ke ye khwaab,Sajaaye hein kadmon mein tere.Samhaal ke rakhna kadam,Kaheen kuchal na jayein khwaab ye mere
jakhm itne gehre hain izhaar kya karein,hum khud nishana ban gaye waar kya karein,marne ke baad bhi meri aankhein khuli rahein,ab isse badhkar tera intezaar kya karein...!
dhuwaan utha hai kahin aag jal rahi hogi, aseer(kaid) roshni bahaar nikal rahi hogi, palak se paani gira hai to use girne do, koi puraani tamanna pighal rahi hogi.
Kabar ki mitti utha ke le gaya koi, isi bahane humein choo kar chala gaya koi, tanhayi aur andhere mein khush they hum, lekin phir se intezaar karne ki wajah de gaya koi…
Tumhe Laakhon ki bheed mein pehchaanta hai koyi,Din raat khudaa se tumhe maangta hai koyi, Tum vaakif nahin khud se itna,Tumhe tum se bhi zyaada jaanta hai koyi!
Masjeed ki namaaz ya mandir ki duwaan ho tum,Khudaa ke tofaa ya khud khudaa ho tum,Ye mere dost khud karlo faisla…Dil mein rehtey ho ya dil ki jagaah ho tum!
%5B1%5D.jpg)